ufuq pe ja ke hamara numud DhunDhega
ufuq pe jā ke hamārā numūd DhūñDhegā
tumhārā saaz hamārā surūd DhūñDhegā
qadam qadam pe use dasht de daġhā lekin
jo tishna-lab hai vo sahrā meñ ruud DhūñDhegā
fazā meñ bikhrī huī koī shai talāshegā
jo aag bujh ga.ī vo us kā duud DhūñDhegā
tijāratoñ ke salīqe se hogā ishq use
vo dil to degā magar us kā suud DhūñDhegā
falak se chalte hue us ko ye gumān na thā
zamīñ pe aa ke vo apnā vajūd DhūñDhegā
ufuq pe ja ke hamara numud DhunDhega
tumhaara saz hamara surud DhunDhega
qadam qadam pe use dasht de dagha lekin
jo tishna-lab hai wo sahra mein rud DhunDhega
faza mein bikhri hui koi shai talashega
jo aag bujh gai wo us ka dud DhunDhega
tijaraton ke saliqe se hoga ishq use
wo dil to dega magar us ka sud DhunDhega
falak se chalte hue us ko ye guman na tha
zamin pe aa ke wo apna wajud DhunDhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.