ufuq saya safar dhoka qadam kartab
ufuq saaya safar dhokā qadam kartab
bas ik Thokar hai aur ye gard-zār-e-shab
maiñ kHālī ho rahā huuñ in ḳhalāoñ meñ
zabāñ se gir rahe haiñ lafz be-matlab
badan dikhte nahīñ chehre to raushan haiñ
ajab sī mash.aleñ le kar chale haiñ sab
ye bahtī mauj hai pātāl tak gahrī
yahāñ kyā DhūñDte ho gum-shuda mansab
nazar haTtī nahīñ TeḌhī lakīroñ se
ta'ajjub kyā jo ham haiñ har nafas be-Dhab
mujhe ghere meñ rakkheñ naddiyāñ naale
maiñ sho.ala huuñ lapak jā.ūñ na jaane kab
ufuq saya safar dhoka qadam kartab
bas ek Thokar hai aur ye gard-zar-e-shab
main kHali ho raha hun in KHalaon mein
zaban se gir rahe hain lafz be-matlab
badan dikhte nahin chehre to raushan hain
ajab si mashalen le kar chale hain sab
ye bahti mauj hai patal tak gahri
yahan kya DhunDte ho gum-shuda mansab
nazar haTti nahin TeDhi lakiron se
ta'ajjub kya jo hum hain har nafas be-Dhab
mujhe ghere mein rakkhen naddiyan nale
main shoala hun lapak jaun na jaane kab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.