ufuq se dur bahut dur dekh sakta hun
ufuq se duur bahut duur dekh saktā huuñ
tirī zamīñ se baḌī ik zamīñ pe tanhā huuñ
vo ḳhush huā hai na ġhamgīn is ḳhabar se magar
zarūr thā ki kahūñ ḳhairiyat se achchhā huuñ
zarā qarīb se pūchho karegā sargoshī
maiñ aadmī to nahīñ aadmī kā dhokā huuñ
agar ho tesha-e-andesha haath meñ mere
yaqīn hotā hai maiñ parbatoñ se ūñchā huuñ
na is meñ rang hai koī na koī chehra hai
maiñ aa.ine ko magar duur se parakhtā huuñ
vo mehrbān murabbī to ho gayā ruḳhsat
ab apnī zaat se be-sūd kyoñ ulajhtā huuñ
ufuq se dur bahut dur dekh sakta hun
teri zamin se baDi ek zamin pe tanha hun
wo KHush hua hai na ghamgin is KHabar se magar
zarur tha ki kahun KHairiyat se achchha hun
zara qarib se puchho karega sargoshi
main aadmi to nahin aadmi ka dhoka hun
agar ho tesha-e-andesha hath mein mere
yaqin hota hai main parbaton se uncha hun
na is mein rang hai koi na koi chehra hai
main aaine ko magar dur se parakhta hun
wo mehrban murabbi to ho gaya ruKHsat
ab apni zat se be-sud kyon ulajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.