ujaD aankhon mein rat-jagon ka azab utra hai nim-shab ko
ujaD aankhon mein rat-jagon ka azab utra hai nim-shab ko
Noon Meem Danish
MORE BYNoon Meem Danish
ujaaḌ āñkhoñ meñ rat-jagoñ kā azaab utrā hai nīm-shab ko
jo dard jaagā hai shaam Dhalte to sher likkhā hai nīm-shab ko
maiñ ḳhālī kamre ke sard goshe meñ roz tanhā ye sochtā huuñ
ye kaun hañstā hai din Dhale tak ye kaun rotā hai nīm-shab ko
hamāre bachchoñ kī sabz āñkhoñ meñ raushnī ke kañval nahīñ haiñ
udaas saayā sā roz aakar ye mujh se kahtā hai nīm-shab ko
duā.eñ le kar ham apne hoñToñ pe jaane kis sukh ke muntazir haiñ
hameñ ḳhabar hai ki is nagar meñ azaab utrā hai nīm-shab ko
dahakte sūraj kā zulm kachche gharoñ ke baasī hī jhelte haiñ
ye baat sochī nahīñ thī din meñ jo ḳhvāb dekhā hai nīm-shab ko
kise ḳhabar hai ye kaun sī shai vajūd-e-sham.a ko chāTtī hai
ye dekhte haiñ ki ek saaya laraztā rahtā hai nīm-shab ko
tumhārī yādoñ kī dhīmī lai hai yā maiñ huuñ yā phir koī nahīñ hai
to suune āñgan meñ kaun aakar diyā jalātā hai nīm-shab ko
ye āgahī ke udaas lamhoñ meñ karb kyā hai azaab kyā hai
vo jāntā hai jo apne rab kī tarah se tanhā hai nīm-shab ko
tum apne saare guzashta lamhe bhulā hī denā magar ye karnā
use duāoñ meñ yaad rakhnā jo tum ko rotā hai nīm-shab ko
agar kabhī tum miloge us se ye jaan lo ‘nūn-mīm-dānish'
vo aadmī hai jo dard paatā hai ḳhvāb botā hai nīm-shab ko
ujaD aankhon mein rat-jagon ka azab utra hai nim-shab ko
jo dard jaga hai sham Dhalte to sher likkha hai nim-shab ko
main KHali kamre ke sard goshe mein roz tanha ye sochta hun
ye kaun hansta hai din Dhale tak ye kaun rota hai nim-shab ko
hamare bachchon ki sabz aankhon mein raushni ke kanwal nahin hain
udas saya sa roz aakar ye mujh se kahta hai nim-shab ko
duaen le kar hum apne honTon pe jaane kis sukh ke muntazir hain
hamein KHabar hai ki is nagar mein azab utra hai nim-shab ko
dahakte suraj ka zulm kachche gharon ke basi hi jhelte hain
ye baat sochi nahin thi din mein jo KHwab dekha hai nim-shab ko
kise KHabar hai ye kaun si shai wajud-e-shama ko chaTti hai
ye dekhte hain ki ek saya larazta rahta hai nim-shab ko
tumhaari yaadon ki dhimi lai hai ya main hun ya phir koi nahin hai
to sune aangan mein kaun aakar diya jalata hai nim-shab ko
ye aagahi ke udas lamhon mein karb kya hai azab kya hai
wo jaanta hai jo apne rab ki tarah se tanha hai nim-shab ko
tum apne sare guzashta lamhe bhula hi dena magar ye karna
use duaon mein yaad rakhna jo tum ko rota hai nim-shab ko
agar kabhi tum miloge us se ye jaan lo ‘nun-mim-danish'
wo aadmi hai jo dard pata hai KHwab bota hai nim-shab ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.