ujaDega jo tu kya faeda ai baghban hoga
ujāḌegā jo tū kyā fā.eda ai bāġhbāñ hogā
ḳhudā rakkhe mirī āñkhoñ meñ terā āshiyāñ hogā
ruḳh-e-raushan na un kā merī āñkhoñ se nihāñ hogā
jal uTThegī naqāb-e-ruḳh jo pardā darmiyāñ hogā
koī sayyād se kah de chhurī kī kyā zarūrat hai
qafas meñ jaan de dūñgā jo zikr-e-āshiyāñ hogā
sitam hai mere aage tum ne mere dil ko yuuñ kosā
ki jā kam-baḳht tū āvāra-e-kū-e-butāñ hogā
sitam-ārā.iyāñ us kī na dekhī jā.eñgī is se
chhupā legī zamīñ ham ko jo dushman āsmāñ hogā
falak ban ban ke TuuTe haiñ hamārī qabr ke taḳhte
ḳhabar is kī na thī zer-e-zamīñ bhī āsmāñ hogā
shabāb aane se pahle ahl-e-dil mar jā.eñge tum par
tumhāre ahd meñ kaahe ko ab koī javāñ hogā
milegī daad kuchh ahl-e-nazar se mujh ko ai 'safdar'
mirā zehn-e-rasā sharminda-e-ahl-e-zamāñ hogā
ujaDega jo tu kya faeda ai baghban hoga
KHuda rakkhe meri aankhon mein tera aashiyan hoga
ruKH-e-raushan na un ka meri aankhon se nihan hoga
jal uTThegi naqab-e-ruKH jo parda darmiyan hoga
koi sayyaad se kah de chhuri ki kya zarurat hai
qafas mein jaan de dunga jo zikr-e-ashiyan hoga
sitam hai mere aage tum ne mere dil ko yun kosa
ki ja kam-baKHt tu aawara-e-ku-e-butan hoga
sitam-araiyan us ki na dekhi jaengi is se
chhupa legi zamin hum ko jo dushman aasman hoga
falak ban ban ke TuTe hain hamari qabr ke taKHte
KHabar is ki na thi zer-e-zamin bhi aasman hoga
shabab aane se pahle ahl-e-dil mar jaenge tum par
tumhaare ahd mein kahe ko ab koi jawan hoga
milegi dad kuchh ahl-e-nazar se mujh ko ai 'safdar'
mera zehn-e-rasa sharminda-e-ahl-e-zaman hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.