ujala kar ke zulmat mein ghira hun
ujālā kar ke zulmat meñ ghirā huuñ
charāġh-e-rahguzar thā bujh gayā huuñ
tirī tasvīr kaise ban sakegī
har ik saada varaq ko dekhtā huuñ
mujhe tūfān se shikva nahīñ hai
halāk-e-be-ruḳhī-e-nāḳhudā huuñ
tire tīroñ kā andāza karūñgā
abhī to zaḳhm dil ke gun gā rahā huuñ
tumheñ sūraj nazar ā.eñge apne
maiñ ā.īna huuñ aur TuuTā huā huuñ
sabā āhista āhista uḌūñgā
maiñ dast-e-nāz kā rañg-e-hinā huuñ
ujala kar ke zulmat mein ghira hun
charagh-e-rahguzar tha bujh gaya hun
teri taswir kaise ban sakegi
har ek sada waraq ko dekhta hun
mujhe tufan se shikwa nahin hai
halak-e-be-ruKHi-e-naKHuda hun
tere tiron ka andaza karunga
abhi to zaKHm dil ke gun ga raha hun
tumhein suraj nazar aaenge apne
main aaina hun aur TuTa hua hun
saba aahista aahista uDunga
main dast-e-naz ka rang-e-hina hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 573)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.