ujala ku-ba-ku hai aur kya hai
ujālā kū-ba-kū hai aur kyā hai
mere hamrāh tū hai aur kyā hai
tire ehsās kī dastak hamesha
ḳhayāloñ par rafū hai aur kyā hai
ye ḳhāmoshī achānak lag ga.ī jo
musalsal guftugū hai aur kyā hai
agarche duur ho nazdīk ho par
kamāl-e-ārzū hai aur kyā hai
vahāñ bas meñ nahīñ huuñ aur sab hai
yahāñ bas tū hī tū hai aur kyā hai
ab is se aur ziyāda kyā banā.eñ
tumhārī justujū hai aur kyā hai
ujala ku-ba-ku hai aur kya hai
mere hamrah tu hai aur kya hai
tere ehsas ki dastak hamesha
KHayalon par rafu hai aur kya hai
ye KHamoshi achanak lag gai jo
musalsal guftugu hai aur kya hai
agarche dur ho nazdik ho par
kamal-e-arzu hai aur kya hai
wahan bas mein nahin hun aur sab hai
yahan bas tu hi tu hai aur kya hai
ab is se aur ziyaada kya banaen
tumhaari justuju hai aur kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.