ujala tira-shabi se daba daba sa laga
ujālā tīra-shabī se dabā dabā sā lagā
charāġh jaltā huā bhī bujhā bujhā sā lagā
talāsh-e-amn meñ laa.ī jahāñ-jahāñ parvāz
khulī fazā thī magar dam ghuTā ghuTā sā lagā
vafā kī raah meñ apnā har ek naqsh-e-qadam
havā-e-kam-nigahī se miTā miTā sā lagā
nigāh-e-shauq-e-tajassus jidhar jidhar bhī ga.ī
ruḳh-e-hayāt kā parda uThā uThā sā lagā
jo dekhā ġhaur se ā.īna-e-siyah-baḳhtī
ḳhud apne jism kā saaya judā judā sā lagā
zamāna chaḌhtī huī dhuup dekhtā hai magar
yahāñ to sub.h kā sūraj Dhalā Dhalā sā lagā
tamām umr bhigotā rahā mirī palkeñ
vo ek lamha jo dil ko bhalā bhalā sā lagā
yahī vo dasht-e-junūñ-ḳhez hai jahāñ 'ahmar'
har ek qāfla-e-ġham luTā luTā sā lagā
ujala tira-shabi se daba daba sa laga
charagh jalta hua bhi bujha bujha sa laga
talash-e-amn mein lai jahan-jahan parwaz
khuli faza thi magar dam ghuTa ghuTa sa laga
wafa ki rah mein apna har ek naqsh-e-qadam
hawa-e-kam-nigahi se miTa miTa sa laga
nigah-e-shauq-e-tajassus jidhar jidhar bhi gai
ruKH-e-hayat ka parda uTha uTha sa laga
jo dekha ghaur se aaina-e-siyah-baKHti
KHud apne jism ka saya juda juda sa laga
zamana chaDhti hui dhup dekhta hai magar
yahan to subh ka suraj Dhala Dhala sa laga
tamam umr bhigota raha meri palken
wo ek lamha jo dil ko bhala bhala sa laga
yahi wo dasht-e-junun-KHez hai jahan 'ahmar'
har ek qafla-e-gham luTa luTa sa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.