ujale milte bhala kaise raat kaTne se
ujāle milte bhalā kaise raat kāTne se
ki tīrgī nahīñ ghaTtī charāġh bāñTne se
fazā meñ uḌte parinde bhī samt bhuul ga.e
havā meñ girheñ paḌīñ aisī peḌ kāTne se
maiñ jāntā huuñ bayābāñ ke bhed-bhāv magar
ḳhizāñ kī dhuup nikhartī hai phuul chāTne se
ye soch kar maiñ kabhī dil ko radd nahīñ kartā
bigaḌ hī jaa.e na ye bachcha roz DāñTne se
jo pahle thī vahī nafrat hai us ke dil meñ hunūz
ki ye ḳhalīj huī kam na mere pāTne se
ye apne apne muqaddar kī baat hai 'ehsān'
sabhī ko phuul nahīñ milte shāḳh chhāTne se
ujale milte bhala kaise raat kaTne se
ki tirgi nahin ghaTti charagh banTne se
faza mein uDte parinde bhi samt bhul gae
hawa mein girhen paDin aisi peD kaTne se
main jaanta hun bayaban ke bhed-bhaw magar
KHizan ki dhup nikharti hai phul chaTne se
ye soch kar main kabhi dil ko radd nahin karta
bigaD hi jae na ye bachcha roz DanTne se
jo pahle thi wahi nafrat hai us ke dil mein hunuz
ki ye KHalij hui kam na mere paTne se
ye apne apne muqaddar ki baat hai 'ehsan'
sabhi ko phul nahin milte shaKH chhaTne se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.