ujale tel chhiDakne lage ujalon par
ujāle tel chhiḌakne lage ujāloñ par
'ajīb vaqt paḌā hai charāġh vāloñ par
tumhārā ālam-e-mastī Dhakā-chhupā hī sahī
mirī nigāh hai TuuTe hue piyāloñ par
tumhāre zehn meñ jo aaj chubh rahe hoñge
maiñ kal se soch rahā huuñ unhīñ savāloñ par
na uTh sakā tire tarz-e-ḳhirām se parda
havā.eñ Daal ga.iiñ ḳhaak pā.emāloñ par
muhākama na kareñ aap apnī bātoñ kā
ye kaam chhoḌ diyā jaa.e sunñe vāloñ par
musallimāt se kyuuñ qasd-e-inhirāf kyā
‘aqīde TuuT paḌe haiñ mire savāloñ par
ye kyā zarūr ki ruḳh sab kā ek jānib ho
fazā kī qaid lagāo na uḌne vāloñ par
ujale tel chhiDakne lage ujalon par
'ajib waqt paDa hai charagh walon par
tumhaara aalam-e-masti Dhaka-chhupa hi sahi
meri nigah hai TuTe hue piyalon par
tumhaare zehn mein jo aaj chubh rahe honge
main kal se soch raha hun unhin sawalon par
na uTh saka tere tarz-e-KHiram se parda
hawaen Dal gain KHak paemalon par
muhakama na karen aap apni baaton ka
ye kaam chhoD diya jae sunne walon par
musallimat se kyun qasd-e-inhiraf kya
‘aqide TuT paDe hain mere sawalon par
ye kya zarur ki ruKH sab ka ek jaanib ho
faza ki qaid lagao na uDne walon par
- Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 138)
- Author : Aizaz Afzal
- Publication : Usmania Book Depot
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.