ujalon ka agar dushman nahin hai
ujāloñ kā agar dushman nahīñ hai
añdheroñ se bhī vo bad-zan nahīñ hai
hamāre paas koī dhan nahīñ hai
bahut ārām hai uljhan nahīñ hai
mire bartan meñ hai mehnat kī roTī
kisī kī deg kī khurchan nahīñ hai
mirī poshāk par kyuuñ hans rahā hai
ye apnī hai tirī utran nahīñ hai
ġharīboñ ke liye ab bhī jahāñ meñ
koī manzil koī maskan nahīñ hai
baḌā dilkash hai chehra zindagī kā
magar vo rang vo roġhan nahīñ hai
nazar meñ raushnī aa.e kahāñ se
charāġh-e-dil hī jab raushan nahīñ hai
koī qātil nahīñ hai is nagar meñ
magar baaqī koī gardan nahīñ hai
mire ghar meñ 'zafar' sab kuchh hai lekin
barā.e-nām bhī āñgan nahīñ hai
ujalon ka agar dushman nahin hai
andheron se bhi wo bad-zan nahin hai
hamare pas koi dhan nahin hai
bahut aaram hai uljhan nahin hai
mere bartan mein hai mehnat ki roTi
kisi ki deg ki khurchan nahin hai
meri poshak par kyun hans raha hai
ye apni hai teri utran nahin hai
gharibon ke liye ab bhi jahan mein
koi manzil koi maskan nahin hai
baDa dilkash hai chehra zindagi ka
magar wo rang wo roghan nahin hai
nazar mein raushni aae kahan se
charagh-e-dil hi jab raushan nahin hai
koi qatil nahin hai is nagar mein
magar baqi koi gardan nahin hai
mere ghar mein 'zafar' sab kuchh hai lekin
barae-nam bhi aangan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.