ujalon ki numaish ho rahi hai
ujāloñ kī numā.ish ho rahī hai
añdheroñ se bhī sāzish ho rahī hai
koī munsif nahīñ shāyad mayassar
sitamgar se jo nālish ho rahī hai
vo maane yā na maane us kī marzī
manāne kī to kāvish ho rahī hai
sitamgar se koī pūchhe to itnā
ye mujh par kyoñ navāzish ho rahī hai
adab kī rok kar ta.amīr ḳhud hī
taraqqī kī guzārish ho rahī hai
haiñ charche ilm ke har ik zabāñ par
magar kamzor dānish ho rahī hai
nahīñ iḳhlās-e-niyyat aur 'aḳhtar'
ibādat kī numā.ish ho rahī hai
ujalon ki numaish ho rahi hai
andheron se bhi sazish ho rahi hai
koi munsif nahin shayad mayassar
sitamgar se jo nalish ho rahi hai
wo mane ya na mane us ki marzi
manane ki to kawish ho rahi hai
sitamgar se koi puchhe to itna
ye mujh par kyon nawazish ho rahi hai
adab ki rok kar tamir KHud hi
taraqqi ki guzarish ho rahi hai
hain charche ilm ke har ek zaban par
magar kamzor danish ho rahi hai
nahin iKHlas-e-niyyat aur 'aKHtar'
ibaadat ki numaish ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.