ujaD kar bhi nishan-e-gulsitan KHud ko samajhta hun
ujaḌ kar bhī nishān-e-gulsitāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
lahū detā huuñ is ko bāġhbāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
kamāl-e-sher rakhtā huuñ javāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
hamesha se junūñ kā rāz-dāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
sadā maiñ dil kī suntā huuñ to kartā bhī huuñ man-mānī
vo nādāñ huuñ ki phir vaj.h-e-ziyāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
nikālā mujh ko jannat se ḳhudā kī mehrbānī ne
lihāzā aaj tak ḳhuld-āshiyāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
maiñ zinda huuñ hazāroñ zaḳhm khā kar bhī mohabbat meñ
na jaane kyuuñ maiñ apnā mehrbāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
huuñ vāris qais kā aur asr kī lailā kā huuñ āshiq
zamāne meñ vafā kī dāstāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
banā kar shāḳh-e-nāzuk par nasheman chaar tinkoñ kā
chaman meñ sirf ahl-e-āshiyāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
maiñ apnī maut se Dartā nahīñ huuñ is liye 'jāmī'
sadā āzād zer-e-āsmāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
mire ash.ār ḳhud hī haiñ mirā nām-o-nishāñ 'jāmī'
magar maiñ to tirā nām-o-nishāñ ḳhud ko samajhtā huuñ
ujaD kar bhi nishan-e-gulsitan KHud ko samajhta hun
lahu deta hun is ko baghban KHud ko samajhta hun
kamal-e-sher rakhta hun jawan KHud ko samajhta hun
hamesha se junun ka raaz-dan KHud ko samajhta hun
sada main dil ki sunta hun to karta bhi hun man-mani
wo nadan hun ki phir wajh-e-ziyan KHud ko samajhta hun
nikala mujh ko jannat se KHuda ki mehrbani ne
lihaza aaj tak KHuld-ashiyan KHud ko samajhta hun
main zinda hun hazaron zaKHm kha kar bhi mohabbat mein
na jaane kyun main apna mehrban KHud ko samajhta hun
hun waris qais ka aur asr ki laila ka hun aashiq
zamane mein wafa ki dastan KHud ko samajhta hun
bana kar shaKH-e-nazuk par nasheman chaar tinkon ka
chaman mein sirf ahl-e-ashiyan KHud ko samajhta hun
main apni maut se Darta nahin hun is liye 'jami'
sada aazad zer-e-asman KHud ko samajhta hun
mere ashaar KHud hi hain mera nam-o-nishan 'jami'
magar main to tera nam-o-nishan KHud ko samajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.