ujDa ujDa shahr-e-tamanna kaise ise aabaad karen
ujḌā ujḌā shahr-e-tamannā kaise ise ābād kareñ
tum hī qātil tum hī aadil ham kis se fariyād kareñ
amn-o-uḳhuvvat apnā maslak mehr-o-vafā hai apnā diin
apnā to ye kaam nahīñ hai zulm-o-istibdād kareñ
ḳhush-fahmī kī patvāroñ se kashtī khenā kyā ma.anī
kuchh socheñ kuchh raah nikāleñ vaqt na yuuñ barbād kareñ
ahl-e-junūñ ne jis bastī ko tārāj-o-pāmāl kiyā
ahl-e-mohabbat aao mil kar phir us ko ābād kareñ
jhūTe haiñ sab rishte naate koī kisī kā miit nahīñ
kis kis kā armān kareñ ham kis kis ko ham yaad kareñ
ujDa ujDa shahr-e-tamanna kaise ise aabaad karen
tum hi qatil tum hi aadil hum kis se fariyaad karen
amn-o-uKHuwwat apna maslak mehr-o-wafa hai apna din
apna to ye kaam nahin hai zulm-o-istibdad karen
KHush-fahmi ki patwaron se kashti khena kya mani
kuchh sochen kuchh rah nikalen waqt na yun barbaad karen
ahl-e-junun ne jis basti ko taraj-o-pamal kiya
ahl-e-mohabbat aao mil kar phir us ko aabaad karen
jhuTe hain sab rishte nate koi kisi ka mit nahin
kis kis ka arman karen hum kis kis ko hum yaad karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.