ujDe dil-o-dimagh ko aabaad kar sakun
ujḌe dil-o-dimāġh ko ābād kar sakūñ
aisā to kuchh kiyā nahīñ jo yaad kar sakūñ
āḳhir ko aadmī huuñ kabhī chāhtā hai dil
ḳhud ko tire ḳhayāl se āzād kar sakūñ
khole zabān vo jo use jāntā na ho
merā to muñh nahīñ hai ki fariyād kar sakūñ
ik umr kaT ga.ī magar ab tak hai justujū
din kāTne kā fan koī ījād kar sakūñ
apne hī ġham ġhalat hoñ suḳhan se bahut hai ye
aisā hunar kahāñ ki ise shaad kar sakūñ
barbād ho ke lauTne vaalā huuñ maiñ 'suhail'
aayā thā yuuñ ki dahr ko ābād kar sakūñ
ujDe dil-o-dimagh ko aabaad kar sakun
aisa to kuchh kiya nahin jo yaad kar sakun
aaKHir ko aadmi hun kabhi chahta hai dil
KHud ko tere KHayal se aazad kar sakun
khole zaban wo jo use jaanta na ho
mera to munh nahin hai ki fariyaad kar sakun
ek umr kaT gai magar ab tak hai justuju
din kaTne ka fan koi ijad kar sakun
apne hi gham ghalat hon suKHan se bahut hai ye
aisa hunar kahan ki ise shad kar sakun
barbaad ho ke lauTne wala hun main 'suhail'
aaya tha yun ki dahr ko aabaad kar sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.