ujDe hue dil mein bhi tera dhyan raha hai
ujḌe hue dil meñ bhī tirā dhyān rahā hai
shahroñ se bhī ābād bayābān rahā hai
ham ne tujhe sau ranj meñ chhoḌā thā magar dost
dil tark-e-ta.alluq pe pashemān rahā hai
shāyad ye kisī taaza musībat ke hai dar pe
kuchh roz se dil merā kahāñ maan rahā hai
DhūñDā jise tā-umr kahīñ vo to nahīñ tum
Thahro to sahī dil tumheñ pahchān rahā hai
jab vaj.h-e-shikāyat thī baham baat zarā sī
bāham ba-dil iḳhlās isī daurān rahā hai
tum aaj hamāre nahīñ bante ho to kyā hai
lekin kabhī is baat kā imkān rahā hai
'shaukat' ajab andāz kā hai shahr-e-butāñ dil
ābād huā hai kabhī vīrān rahā hai
ujDe hue dil mein bhi tera dhyan raha hai
shahron se bhi aabaad bayaban raha hai
hum ne tujhe sau ranj mein chhoDa tha magar dost
dil tark-e-talluq pe pasheman raha hai
shayad ye kisi taza musibat ke hai dar pe
kuchh roz se dil mera kahan man raha hai
DhunDa jise ta-umr kahin wo to nahin tum
Thahro to sahi dil tumhein pahchan raha hai
jab wajh-e-shikayat thi baham baat zara si
baham ba-dil iKHlas isi dauran raha hai
tum aaj hamare nahin bante ho to kya hai
lekin kabhi is baat ka imkan raha hai
'shaukat' ajab andaz ka hai shahr-e-butan dil
aabaad hua hai kabhi viran raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.