ujḌe hue dimāġh kā chehra udaas hai
sahrā ke har surāġh kā chehra udaas hai
cigarette kī is zarā sī huī raushnī meñ dekh
so.e hue charāġh kā chehra udaas hai
mahbūb aur jahān ke zaḳhmoñ meñ jañg hai
is sāneha se daaġh kā chehra udaas hai
aisā koī to thā jise phūloñ se pyaar thā
jo mar gayā to baaġh kā chehra udaas hai
apnī tarah se sab ne use kyā na kuchh kahā
'tejas' tere ayāġh kā chehra udaas hai
ujDe hue dimagh ka chehra udas hai
sahra ke har suragh ka chehra udas hai
cigarette ki is zara si hui raushni mein dekh
soe hue charagh ka chehra udas hai
mahbub aur jahan ke zaKHmon mein jang hai
is saneha se dagh ka chehra udas hai
aisa koi to tha jise phulon se pyar tha
jo mar gaya to bagh ka chehra udas hai
apni tarah se sab ne use kya na kuchh kaha
'tejas' tere ayagh ka chehra udas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.