ujDe hue is dil mein jagah mang rahe ho
ujDe hue is dil mein jagah mang rahe ho
Nishat Parveen Barsavi
MORE BYNishat Parveen Barsavi
ujḌe hue is dil meñ jagah maañg rahe ho
tum apne liye kaisī sazā maañg rahe ho
ye ishq hai kahte haiñ ise aag kā dariyā
tum aag meñ jalne kī razā maañg rahe ho
jo apne liye sub.h na.ī DhūñD rahā hai
us Dūbte sūraj se ziyā maañg rahe ho
sahrā ke bagūloñ kā muqaddar hai bhaTaknā
dīvāne se kis ghar kā pata maañg rahe ho
jin hāthoñ meñ qismat kī lakīreñ bhī nahīñ haiñ
un hāthoñ meñ tum rang-e-hinā maañg rahe ho
jiine kī duā de ke mujhe asl meñ hamdam
mere liye marne kī duā maañg rahe ho
ujDe hue is dil mein jagah mang rahe ho
tum apne liye kaisi saza mang rahe ho
ye ishq hai kahte hain ise aag ka dariya
tum aag mein jalne ki raza mang rahe ho
jo apne liye subh nai DhunD raha hai
us Dubte suraj se ziya mang rahe ho
sahra ke bagulon ka muqaddar hai bhaTakna
diwane se kis ghar ka pata mang rahe ho
jin hathon mein qismat ki lakiren bhi nahin hain
un hathon mein tum rang-e-hina mang rahe ho
jine ki dua de ke mujhe asl mein hamdam
mere liye marne ki dua mang rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.