ujDe hue raste hum
ujḌe hue raste ham
guzre hue lamhe ham
rangoñ se muzayyan the
chhū lene se bikhre ham
nābūd mukammal kar
TuuTe nahīñ chaTḳhe ham
sairāb huī duniyā
ik buuñd ko tarse ham
de deñ ise ġhairoñ ko
duniyā tire sadqe ham
apnī baḌī qīmat thī
kitne hue saste ham
us aañkh meñ ghar hotā
us dil meñ dhaḌakte ham
ham bichhḌī huī bāñheñ
bhūle hue lamhe ham
lipTī huī fikreñ haiñ
kahte nahīñ dukhḌe ham
hujjat bhī agar karte
kis shaḳhs ke karte ham
ai yaad chal āhista
gūñge haiñ na bahre ham
ujDe hue raste hum
guzre hue lamhe hum
rangon se muzayyan the
chhu lene se bikhre hum
nabud mukammal kar
TuTe nahin chaTKHe hum
sairab hui duniya
ek bund ko tarse hum
de den ise ghairon ko
duniya tere sadqe hum
apni baDi qimat thi
kitne hue saste hum
us aankh mein ghar hota
us dil mein dhaDakte hum
hum bichhDi hui banhen
bhule hue lamhe hum
lipTi hui fikren hain
kahte nahin dukhDe hum
hujjat bhi agar karte
kis shaKHs ke karte hum
ai yaad chal aahista
gunge hain na bahre hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.