ujDe makan ka kha gai jalta hua diya
ujḌe makāñ kā khā ga.ī jaltā huā diyā
milnā paḌegā tujh se mujhe sar-phirī havā
apne ta.alluqāt to kab ke hue tamām
kahne ko rah gayā hai batāo ab aur kyā
to chāhtā yahī thā ki milne na paa.eñ ham
āḳhir ko ho ga.ī hai tirī surḳh-rū duā
phir kyoñ na aaj se hī raheñ duur duur ham
āḳhir kabhī to honā paḌegā hameñ judā
mahfil meñ duur is liye baiThī huuñ aap se
merā vajūd aap ko lagtā hai kuchh burā
ujDe makan ka kha gai jalta hua diya
milna paDega tujh se mujhe sar-phiri hawa
apne talluqat to kab ke hue tamam
kahne ko rah gaya hai batao ab aur kya
to chahta yahi tha ki milne na paen hum
aaKHir ko ho gai hai teri surKH-ru dua
phir kyon na aaj se hi rahen dur dur hum
aaKHir kabhi to hona paDega hamein juda
mahfil mein dur is liye baiThi hun aap se
mera wajud aap ko lagta hai kuchh bura
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.