ujDi hui basti ki subh o sham hi kya
ujḌī huī bastī kī sub.h o shaam hī kyā
ḳhaak uḌāne vāloñ kā anjām hī kyā
paas se ho kar yūñhī guzar jaatī hai sabā
dīvāne ke naam koī paiġhām hī kyā
jo bhī tumhāre jī meñ aa.e kah Daalo
ham mastāne log hamārā naam hī kyā
daur-e-mai-o-sāġhar bhī apne shabāb pe hai
gardish meñ hai charḳh-e-nīlī-fām hī kyā
'zeb' ke mar jaane kī to ye umr na thī
Duub gayā sūraj bālā-e-bām hī kyā
ujDi hui basti ki subh o sham hi kya
KHak uDane walon ka anjam hi kya
pas se ho kar yunhi guzar jati hai saba
diwane ke nam koi paigham hi kya
jo bhi tumhaare ji mein aae kah Dalo
hum mastane log hamara nam hi kya
daur-e-mai-o-saghar bhi apne shabab pe hai
gardish mein hai charKH-e-nili-fam hi kya
'zeb' ke mar jaane ki to ye umr na thi
Dub gaya suraj baala-e-baam hi kya
- Book : zartaab (Pg. 260)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.