ujlat mein wo dekho kya kya chhoD gaya
ujlat meñ vo dekho kyā kyā chhoḌ gayā
apnī bāteñ apnā chehra chhoḌ gayā
mujh se ek kahānī sunñe aaya thā
aur mujh meñ vo apnā qissa chhoḌ gayā
ḳhvāb-zada thā bāteñ kartā rahtā thā
rone vāloñ ko bhī hañstā chhoḌ gayā
dil ke ik kone meñ aaheñ rakkhī haiñ
jaane vaalā apnā hissa chhoḌ gayā
jitnī yādeñ le ke ham ko marnā thā
utnī sāñseñ de ke zinda chhoḌ gayā
dīvāroñ se lag ke ro lete hoñge
jin ko un kā saayā tanhā chhoḌ gayā
kamre se jis din us kī tasvīr haTī
ā.īne ne dekh ke pūchhā chhoḌ gayā
ujlat mein wo dekho kya kya chhoD gaya
apni baaten apna chehra chhoD gaya
mujh se ek kahani sunne aaya tha
aur mujh mein wo apna qissa chhoD gaya
KHwab-zada tha baaten karta rahta tha
rone walon ko bhi hansta chhoD gaya
dil ke ek kone mein aahen rakkhi hain
jaane wala apna hissa chhoD gaya
jitni yaaden le ke hum ko marna tha
utni sansen de ke zinda chhoD gaya
diwaron se lag ke ro lete honge
jin ko un ka saya tanha chhoD gaya
kamre se jis din us ki taswir haTi
aaine ne dekh ke puchha chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.