ujlaton mein usne humse kah diya be-fikr hun
ujlatoñ meñ us ne ham se kah diyā be-fikr huuñ
par hamārī chaah meñ shām-o-sahar rote rahe
ashk merī ḳhairiyat lene kī ḳhātir dam-ba-dam
apnā sāhil chhoḌ kar ruḳhsār par bahte rahe
kyā abhī bhī ishq ke qābil nahīñ samjhe ga.e
jitne ġham tū ne diye hañs hañs ke ham sahte rahe
phuul tū bhī chhoḌ de ḳhushbū uḌānā baaġh meñ
ḳhaar tere vāste zaḳhmī mujhe karte rahe
be-hisī tujh se mujhe shikva hamesha se rahā
ġhair ke TukḌoñ pe kyuuñ ahl-e-qalam palte rahe
DhūñDh paatā hī nahīñ mujh ko magar us ke liye
ḳhush-nasībī thī zamīñ par naqsh-e-pā chhapte rahe
ai mohabbat imtihāñ lenā hamārā chhoḌ de
fail hote ham ga.e tujh ko burā kahte rahe
maañ agar ghar meñ rahe ghar bhī mirā jannat lage
phir sukūñ utnā milā jaise yahīñ rahte rahe
vāsta maiñ is hukūmat se bhalā kaise rakhūñ
ḳhud-kushī kar lī kisānoñ ne javāñ marte rahe
biij ham ne bo diyā banjar zamīñ dekhā nahīñ
phir hukūmat se gilā shikve sabhī karte rahe
qatl us ne kar diyā mujh ko magar achchhā huā
ḳhuun ke qatre usī ke haath se lipTe rahe
chāshnī urdu adab kī kam nahīñ hogī kabhī
ham buzurgoñ ke qalam ko thaam kar likhte rahe
ujlaton mein us ne hum se kah diya be-fikr hun
par hamari chah mein sham-o-sahar rote rahe
ashk meri KHairiyat lene ki KHatir dam-ba-dam
apna sahil chhoD kar ruKHsar par bahte rahe
kya abhi bhi ishq ke qabil nahin samjhe gae
jitne gham tu ne diye hans hans ke hum sahte rahe
phul tu bhi chhoD de KHushbu uDana bagh mein
KHar tere waste zaKHmi mujhe karte rahe
be-hisi tujh se mujhe shikwa hamesha se raha
ghair ke TukDon pe kyun ahl-e-qalam palte rahe
DhunDh pata hi nahin mujh ko magar us ke liye
KHush-nasibi thi zamin par naqsh-e-pa chhapte rahe
ai mohabbat imtihan lena hamara chhoD de
fail hote hum gae tujh ko bura kahte rahe
man agar ghar mein rahe ghar bhi mera jannat lage
phir sukun utna mila jaise yahin rahte rahe
wasta main is hukumat se bhala kaise rakhun
KHud-kushi kar li kisanon ne jawan marte rahe
bij hum ne bo diya banjar zamin dekha nahin
phir hukumat se gila shikwe sabhi karte rahe
qatl us ne kar diya mujh ko magar achchha hua
KHun ke qatre usi ke hath se lipTe rahe
chashni urdu adab ki kam nahin hogi kabhi
hum buzurgon ke qalam ko tham kar likhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.