ujle chehre KHwabon wale
ujle chehre ḳhvāboñ vaale
jaise kañval tālāboñ vaale
vahshī zulfeñ pāgal āñkheñ
mukhḌe zard gulāboñ vaale
sachche koh-e-qāf ke qisse
vo bachpan ke ḳhvāboñ vaale
ham se baḌh kar dīvāne the
agle log hijāboñ vaale
apnī bāteñ bahkī bahkī
un ke kaam hisāboñ vaale
dil ke taqāze sachche suthre
jhūTe bhed kitāboñ vaale
bekal ruuh bagūloñ jaisī
be-jāñ jism sarāboñ vaale
'āfrīñ' kab tak kahtī rahogī
kohna she'r nisāboñ vaale
ujle chehre KHwabon wale
jaise kanwal talabon wale
wahshi zulfen pagal aankhen
mukhDe zard gulabon wale
sachche koh-e-qaf ke qisse
wo bachpan ke KHwabon wale
hum se baDh kar diwane the
agle log hijabon wale
apni baaten bahki bahki
un ke kaam hisabon wale
dil ke taqaze sachche suthre
jhuTe bhed kitabon wale
bekal ruh bagulon jaisi
be-jaan jism sarabon wale
'afrin' kab tak kahti rahogi
kohna she'r nisabon wale
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 51)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.