Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ujle mathe pe nam likh rakkhen

Farooq muztar

ujle mathe pe nam likh rakkhen

Farooq muztar

MORE BYFarooq muztar

    ujle māthe pe naam likh rakkheñ

    ḳhvāhishoñ maqām likh rakkheñ

    phir havas ko hai hasrat-e-parvāz

    aap dāna-o-dām likh rakkheñ

    varna ham is ko bhuul jā.eñge

    sabz harfoñ meñ naam likh rakkheñ

    jaane kis samt kal havā le jaa.e

    lamha-e-shād-kām likh rakkheñ

    apne hone kuchh yaqīñ kar leñ

    ret par naqsh-o-nām likh rakkheñ

    shab ko ThiThureñge sab dar-o-dīvār

    dhuup kuchh apne naam likh rakkheñ

    zardiyāñ oḌhne lagā sūraj

    nāma-e-ḳhauf-e-shām likh rakkheñ

    piile piile badan huā mausam

    piilā piilā tamām likh rakkheñ

    aane vaale udaas nasloñ ke

    silsila-vār naam likh rakkheñ

    ujle mathe pe nam likh rakkhen

    KHwahishon ka maqam likh rakkhen

    phir hawas ko hai hasrat-e-parwaz

    aap dana-o-dam likh rakkhen

    warna hum is ko bhul jaenge

    sabz harfon mein nam likh rakkhen

    jaane kis samt kal hawa le jae

    lamha-e-shad-kaam likh rakkhen

    apne hone ka kuchh yaqin kar len

    ret par naqsh-o-nam likh rakkhen

    shab ko ThiThurenge sab dar-o-diwar

    dhup kuchh apne nam likh rakkhen

    zardiyan oDhne laga suraj

    nama-e-KHauf-e-sham likh rakkhen

    pile pile badan hua mausam

    pila pila tamam likh rakkhen

    aane wale udas naslon ke

    silsila-war nam likh rakkhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now