ujle malbus mein dhabbe nahin achchhe lagte
ujle malbūs meñ dhabbe nahīñ achchhe lagte
rahnumā qaum ke jhūTe nahīñ achchhe lagte
hoñ agar sar pe to taqdīs-e-hayā ke zāmin
aur Dhalkeñ to dupaTTe nahīñ achchhe lagte
misl-e-ā.īna milā kar mire bhaa.ī mujh se
tere chehre pe mukhauTe nahīñ achchhe lagte
ahmiyat raat ke dam-ḳham se hai din kī qaa.em
sab hī achchhe hoñ to achchhe nahīñ achchhe lagte
jism-e-qirtās pe ik bojh lageñ jo 'parvāz'
dastaḳhat ke vo añgūThe nahīñ achchhe lagte
ujle malbus mein dhabbe nahin achchhe lagte
rahnuma qaum ke jhuTe nahin achchhe lagte
hon agar sar pe to taqdis-e-haya ke zamin
aur Dhalken to dupaTTe nahin achchhe lagte
misl-e-aina mila kar mere bhai mujh se
tere chehre pe mukhauTe nahin achchhe lagte
ahmiyat raat ke dam-KHam se hai din ki qaem
sab hi achchhe hon to achchhe nahin achchhe lagte
jism-e-qirtas pe ek bojh lagen jo 'parwaz'
dastaKHat ke wo anguThe nahin achchhe lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.