ujle moti humne mange the kisi se thaal bhar
ujle motī ham ne māñge the kisī se thaal bhar
aur us ne de diye aañsū hameñ rumāl bhar
jis qadar paude khaḌe the rah ga.e haiñ Daal bhar
dhuup ne phir bhī ravayye ko na badlā baal bhar
yuuñ lagā ākāsh jaise muTThiyoñ meñ bhar liyā
mere qabze meñ parinde aa ga.e jab jaal bhar
us kī āñkhoñ kā bayāñ us ke sivā kyā kījiye
vus.ateñ ākāsh sī gahrā.iyāñ pātāl bhar
chhoḌ aa.e jab se ham college kī 'shāhid' naukrī
chhuTTiyoñ ke muntazir rahne lage haiñ saal bhar
ujle moti hum ne mange the kisi se thaal bhar
aur us ne de diye aansu hamein rumal bhar
jis qadar paude khaDe the rah gae hain Dal bhar
dhup ne phir bhi rawayye ko na badla baal bhar
yun laga aakash jaise muTThiyon mein bhar liya
mere qabze mein parinde aa gae jab jal bhar
us ki aankhon ka bayan us ke siwa kya kijiye
wusaten aakash si gahraiyan patal bhar
chhoD aae jab se hum college ki 'shahid' naukri
chhuTTiyon ke muntazir rahne lage hain sal bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.