ujli dhup mein chalne walo shad raho
ujlī dhuup meñ chalne vaalo shaad raho
mehnat kar ke palne vaalo shaad raho
ab raushan haiñ manzar shoḳh haiñ nazzāre
manzar meñ rañg bharne vaalo shaad raho
ishq mohabbat karnā vaise mushkil hai
phir bhī koshish karne vaalo shaad raho
apne aap sambhalnā achchhī aadat hai
Thokar Thokar girne vaalo shaad raho
haq to phir bhī haq hai ġhālib aa.egā
haq kī ḳhātir laḌne vaalo shaad raho
qisse meñ kirdār badalte haiñ pal meñ
har kirdār meñ Dhalne vaalo shaad raho
apnī ḳhushī se jiinā mushkil hotā hai
apnī ḳhushī se marne vaalo shaad raho
ujli dhup mein chalne walo shad raho
mehnat kar ke palne walo shad raho
ab raushan hain manzar shoKH hain nazzare
manzar mein rang bharne walo shad raho
ishq mohabbat karna waise mushkil hai
phir bhi koshish karne walo shad raho
apne aap sambhalna achchhi aadat hai
Thokar Thokar girne walo shad raho
haq to phir bhi haq hai ghaalib aaega
haq ki KHatir laDne walo shad raho
qisse mein kirdar badalte hain pal mein
har kirdar mein Dhalne walo shad raho
apni KHushi se jina mushkil hota hai
apni KHushi se marne walo shad raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.