ujli fasil mein rahi sine ki lahr lahr
ujlī fasīl meñ rahī siine kī lahr lahr
sātoñ jaloñ ko pī ke bhī TuuTī na ġham kī nahr
kundan haveliyoñ ko ḳhalāoñ ne aa liyā
tāroñ kī aañkh ro ga.e be-nūriyoñ ke shahr
chhe samt kā ġhubār thā bastī meñ dhuup kī
Tīloñ pe hū kā raaj thā zardī ke aaTh pahar
ḳhvāboñ ke hauz the ki tilismāt chāñd ke
afsūñ-garoñ kī aañkh meñ Duube hue the bahr
phirtī phire hai paañv kī zanjīr le ke saath
ji’be meñ reze nuur ke zambīl meñ sipahr
ujli fasil mein rahi sine ki lahr lahr
saton jalon ko pi ke bhi TuTi na gham ki nahr
kundan haweliyon ko KHalaon ne aa liya
taron ki aankh ro gae be-nuriyon ke shahr
chhe samt ka ghubar tha basti mein dhup ki
Tilon pe hu ka raj tha zardi ke aaTh pahar
KHwabon ke hauz the ki tilismat chand ke
afsun-garon ki aankh mein Dube hue the bahr
phirti phire hai panw ki zanjir le ke sath
ji’be mein reze nur ke zambil mein sipahr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.