ujli ujli barf ke niche patthar nila nila hai
ujlī ujlī barf ke nīche patthar niilā niilā hai
terī yādoñ meñ ye sard december niilā niilā hai
din kī rañgat ḳhair guzar jaatī hai tere bin lekin
kattha.ī kattha.ī rātoñ kā har manzar niilā niilā hai
duur idhar khiḌkī par baiThī soch rahī ho mujh ko kyā
chāñd udhar chhat par aayā hai thak kar niilā niilā hai
terī niilī chunarī ne kyā haal kiyā bāġhīche kā
nārañgī phūloñ vaalā gul-mohar niilā niilā hai
bādal ke pīchhe kā sach ab kholā terī āñkhoñ ne
tū jo nihāre roz use to ambar niilā niilā hai
husn bhale ho raushan terā laal gulābī rañg liye
ishq kā tere partav lekin dil par niilā niilā hai
ik to tū bhī saath nahīñ hai uupar se ye bārish uf
ghar to ghar saarā kā saarā daftar niilā niilā hai
ujli ujli barf ke niche patthar nila nila hai
teri yaadon mein ye sard december nila nila hai
din ki rangat KHair guzar jati hai tere bin lekin
katthai katthai raaton ka har manzar nila nila hai
dur idhar khiDki par baiThi soch rahi ho mujh ko kya
chand udhar chhat par aaya hai thak kar nila nila hai
teri nili chunari ne kya haal kiya baghiche ka
narangi phulon wala gul-mohar nila nila hai
baadal ke pichhe ka sach ab khola teri aankhon ne
tu jo nihaare roz use to ambar nila nila hai
husn bhale ho raushan tera lal gulabi rang liye
ishq ka tere partaw lekin dil par nila nila hai
ek to tu bhi sath nahin hai upar se ye barish uf
ghar to ghar sara ka sara daftar nila nila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.