ukta ke ku-e-yar se ushshaq chal paDe
uktā ke kū-e-yār se ushshāq chal paḌe
kār-e-vafā ke dekhiye mushtāq chal paḌe
maiñ uTh gayā to dard kī mahfil ujaḌ ga.ī
mere hī saath ishq ke mashshāq chal paḌe
naqsh-e-qadam paḌe haiñ ye qudrat ke jā-ba-jā
duniyā-e-dil se uTh ke bad-aḳhlāq chal paḌe
barg-e-hinā se likh ke nasīhat zamīn par
gulshan ko tere chhoḌ ke aurāq chal paḌe
rishtoñ ke ehtirām kī jin ko na thī tamīz
dāman meñ apne bāñdh ke āfāq chal paḌe
terī nigāh-e-nāz ne aisā fusūñ paḌhā
dīvāne ho ke duniyā se ashfāq chal paḌe
maiñ ne charāġh-e-ishq jalā.e the jo 'nadīm'
hamrāh mere chhoḌ ke sab taaq chal paḌe
ukta ke ku-e-yar se ushshaq chal paDe
kar-e-wafa ke dekhiye mushtaq chal paDe
main uTh gaya to dard ki mahfil ujaD gai
mere hi sath ishq ke mashshaq chal paDe
naqsh-e-qadam paDe hain ye qudrat ke ja-ba-ja
duniya-e-dil se uTh ke bad-aKHlaq chal paDe
barg-e-hina se likh ke nasihat zamin par
gulshan ko tere chhoD ke auraq chal paDe
rishton ke ehtiram ki jin ko na thi tamiz
daman mein apne bandh ke aafaq chal paDe
teri nigah-e-naz ne aisa fusun paDha
diwane ho ke duniya se ashfaq chal paDe
main ne charagh-e-ishq jalae the jo 'nadim'
hamrah mere chhoD ke sab taq chal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.