ulfat ka anjam bura hai
ulfat ka anjam bura hai
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ulfat kā anjām burā hai
daana achchhā daam burā hai
shaiḳh achchhe haiñ aur bure ham
bad achchhā badnām burā hai
shaiḳh ke muñh meñ pand-o-nasīhat
mai achchhī hai jaam burā hai
is duniyā meñ aksar dekhā
jurm achchhā ilzām burā hai
hirs kī bāteñ karne vaalo
is shai kā anjām burā hai
ahd-e-vafā par marne vaalo
mat karnā ye kaam burā hai
vasl kā va.ada kar ke bole
ab kahiye paiġhām burā hai
ulfat ka anjam bura hai
dana achchha dam bura hai
shaiKH achchhe hain aur bure hum
bad achchha badnam bura hai
shaiKH ke munh mein pand-o-nasihat
mai achchhi hai jam bura hai
is duniya mein aksar dekha
jurm achchha ilzam bura hai
hirs ki baaten karne walo
is shai ka anjam bura hai
ahd-e-wafa par marne walo
mat karna ye kaam bura hai
wasl ka wada kar ke bole
ab kahiye paigham bura hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.