ulfat ka jurm karte hi diwana ho gaya
ulfat kā jurm karte hī dīvāna ho gayā
aivān-e-ishq mere liye thāna ho gayā
āvāgaman hai yā ki tilism-e-nigāh-e-husn
insān thā sag-e-dar-e-jānāna ho gayā
kuchh saḳht-jāñ ke qatl kā sadma nahīñ unheñ
us kī hai nigah teġh meñ dandāna ho gayā
laale kī aag phūloñ kī āñkheñ chaḌhī huiiñ
sehn-e-chaman jo thā vo madak-ḳhāna ho gayā
insāf kyā kiyā hai adālat ne husn kī
aish-o-nishāt-e-umr kā jurmāna ho gayā
piirī ke bhī karishme nirāle jahāñ meñ haiñ
qandhār kā anaar thā be-dāna ho gayā
ulfat ka jurm karte hi diwana ho gaya
aiwan-e-ishq mere liye thana ho gaya
aawagaman hai ya ki tilism-e-nigah-e-husn
insan tha sag-e-dar-e-jaanana ho gaya
kuchh saKHt-jaan ke qatl ka sadma nahin unhen
us ki hai nigah tegh mein dandana ho gaya
lale ki aag phulon ki aankhen chaDhi huin
sehn-e-chaman jo tha wo madak-KHana ho gaya
insaf kya kiya hai adalat ne husn ki
aish-o-nishat-e-umr ka jurmana ho gaya
piri ke bhi karishme nirale jahan mein hain
qandhaar ka anar tha be-dana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.