ulfat ke fasane mazi ke kuchh bhule kuchh yaad aa bhi gae
ulfat ke fasane mazi ke kuchh bhule kuchh yaad aa bhi gae
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
ulfat ke fasāne maazī ke kuchh bhūle kuchh yaad aa bhī ga.e
ġham ke bādal dil pe mire kuchh chhaT bhī ga.e kuchh chhā bhī ga.e
jab ishq kī vaadī meñ ham tum le kar hāthoñ meñ haath chale
go ḳhaar bhī uljhe dāman meñ kuchh lamhe gul barsā bhī ga.e
jab rāz-e-mohabbat mujh se sunā kuchh vo bhī pasīje dam bhar ko
chup rahte hue kuchh kah bhī ga.e aur kahte hue katrā bhī ga.e
baazī meñ mohabbat kī aksar kuchh marhale aise aa.e haiñ
jab jiit ke bhī ham haar ga.e aur haar ke ham kuchh pā bhī ga.e
vo aa.e aur kuchh haal na pūchhā dil kā dard bhī kuchh na sunā
yuuñ dekh ki un ko dil ke kañval kuchh khil bhī ga.e murjhā bhī ga.e
uljhī sī haiñ ishq kī rāheñ jokhim sī kuchh ishq kī manzil
in rāhoñ meñ kuchh kho bhī ga.e aur manzil ko kuchh pā bhī ga.e
go laakh jatan ham ne bhī kiye par qalb kī taskīñ ho na sakī
armānoñ se dil ḳhālī na huā kuchh ghuT bhī ga.e kuchh pā bhī ga.e
kyā jaane ham kyā kah baiThe vo kah na sake jo kahnā thā
ham pyaar ke tāne-bāne ko suljhā bhī ga.e uljhā bhī ga.e
ye husn kī mastī un kī 'habīb' ye kyā hī anokhī mastī hai
kuchh ḳhud bhī hue be-ḳhud us se kuchh be-ḳhud ham ko banā bhī ga.e
ulfat ke fasane mazi ke kuchh bhule kuchh yaad aa bhi gae
gham ke baadal dil pe mere kuchh chhaT bhi gae kuchh chha bhi gae
jab ishq ki wadi mein hum tum le kar hathon mein hath chale
go KHar bhi uljhe daman mein kuchh lamhe gul barsa bhi gae
jab raaz-e-mohabbat mujh se suna kuchh wo bhi pasije dam bhar ko
chup rahte hue kuchh kah bhi gae aur kahte hue katra bhi gae
bazi mein mohabbat ki aksar kuchh marhale aise aae hain
jab jit ke bhi hum haar gae aur haar ke hum kuchh pa bhi gae
wo aae aur kuchh haal na puchha dil ka dard bhi kuchh na suna
yun dekh ki un ko dil ke kanwal kuchh khil bhi gae murjha bhi gae
uljhi si hain ishq ki rahen jokhim si kuchh ishq ki manzil
in rahon mein kuchh kho bhi gae aur manzil ko kuchh pa bhi gae
go lakh jatan hum ne bhi kiye par qalb ki taskin ho na saki
armanon se dil KHali na hua kuchh ghuT bhi gae kuchh pa bhi gae
kya jaane hum kya kah baiThe wo kah na sake jo kahna tha
hum pyar ke tane-bane ko suljha bhi gae uljha bhi gae
ye husn ki masti un ki 'habib' ye kya hi anokhi masti hai
kuchh KHud bhi hue be-KHud us se kuchh be-KHud hum ko bana bhi gae
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 66)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.