ulfat mein aisi laghzish-e-mastana chahiye
ulfat mein aisi laghzish-e-mastana chahiye
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
ulfat meñ aisī laġhzish-e-mastāna chāhiye
dar par tire gireñ to sambhalnā na chāhiye
hai ālam-e-shabāb kisī kā nigāh meñ
merī nazar ko aur tamāshā na chāhiye
saaqī kī ik nigāh pe mad.hosh bazm hai
gardish meñ ab to sāġhar-o-mīnā na chāhiye
chilman kī tīliyoñ se rukī kab nigāh-e-shauq
us par kabhī bhī bandish-e-bejā na chāhiye
sāqī-garī kī laaj rakho ye to ehtimām
koī bhī riñd bazm meñ pyāsā na chāhiye
farzāngī se tai huī kab manzil-e-hayāt
raḳht-e-safar meñ ik dil-e-dīvāna chāhiye
har har qadam pe soch ke chalnā ajiib hai
jiine ko kuchh to jur.at-e-rindāna chāhiye
kam hai 'habīb' umr ta.assuf ke vāste
duniyāñ ko baat baat pe jhuTlānā chāhiye
ulfat mein aisi laghzish-e-mastana chahiye
dar par tere giren to sambhalna na chahiye
hai aalam-e-shabab kisi ka nigah mein
meri nazar ko aur tamasha na chahiye
saqi ki ek nigah pe madhosh bazm hai
gardish mein ab to saghar-o-mina na chahiye
chilman ki tiliyon se ruki kab nigah-e-shauq
us par kabhi bhi bandish-e-beja na chahiye
saqi-gari ki laj rakho ye to ehtimam
koi bhi rind bazm mein pyasa na chahiye
farzangi se tai hui kab manzil-e-hayat
raKHt-e-safar mein ek dil-e-diwana chahiye
har har qadam pe soch ke chalna ajib hai
jine ko kuchh to jurat-e-rindana chahiye
kam hai 'habib' umr tassuf ke waste
duniyan ko baat baat pe jhuTlana chahiye
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 82)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.