ulfat mein koi baat chhupai nahin jati
ulfat meñ koī baat chhupā.ī nahīñ jaatī
dīvār-e-anā biich meñ laa.ī nahīñ jaatī
hai dil mirā āzurda magar lab pe hañsī hai
ḳhūbī ye har insān meñ paa.ī nahīñ jaatī
ham hī chalo jhuk jaate haiñ ab sāmne un ke
un se to ye dīvār girā.ī nahīñ jaatī
nā-karda gunāhoñ kī sazā pā.eñge kab tak
munsif ke yahāñ merī duhā.ī nahīñ jaatī
ai kaash koī ho jo mirī vahshateñ bāñTe
ab dil kī ḳhalish mujh se dabā.ī nahīñ jaatī
'azkā' chalo ab kuuch kareñ shahr se un ke
ab aur hazīmat ye uThā.ī nahīñ jaatī
ulfat mein koi baat chhupai nahin jati
diwar-e-ana bich mein lai nahin jati
hai dil mera aazurda magar lab pe hansi hai
KHubi ye har insan mein pai nahin jati
hum hi chalo jhuk jate hain ab samne un ke
un se to ye diwar girai nahin jati
na-karda gunahon ki saza paenge kab tak
munsif ke yahan meri duhai nahin jati
ai kash koi ho jo meri wahshaten banTe
ab dil ki KHalish mujh se dabai nahin jati
'azka' chalo ab kuch karen shahr se un ke
ab aur hazimat ye uThai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.