uljha hua bahut hai fasana hayat ka
uljhā huā bahut hai fasāna hayāt kā
tum kyā samajh sakoge bayāñ merī zaat kā
kuchh bhī kahūñ to pahle ye rakhtā huuñ ehtiyāt
matlab badal na jaa.e kahīñ merī baat kā
chhoTā sā ek lafz-e-mohabbat hai aur kyā
halqa baḌā nahīñ hai mirī kā.enāt kā
achchhā huā ki TuuT ga.ī thī hamārī niiñd
ab tak hameñ hai yaad burā ḳhvāb raat kā
uljha hua bahut hai fasana hayat ka
tum kya samajh sakoge bayan meri zat ka
kuchh bhi kahun to pahle ye rakhta hun ehtiyat
matlab badal na jae kahin meri baat ka
chhoTa sa ek lafz-e-mohabbat hai aur kya
halqa baDa nahin hai meri kaenat ka
achchha hua ki TuT gai thi hamari nind
ab tak hamein hai yaad bura KHwab raat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.