uljhanon ka sira nahin milta
uljhanoñ kā sirā nahīñ miltā
kyā kareñ mudda.ā nahīñ miltā
ishtihāroñ ne gher lī dīvār
mere ghar kā patā nahīñ miltā
ruuTh jaate haiñ lafz ma.anī se
āsmāñ par ḳhudā nahīñ miltā
har nayā pal hai ik nayā ehsās
har kisī ko maza nahīñ miltā
ab to qānūn kī chale hai miyāñ
ab bhale ko bhalā nahīñ miltā
hādsoñ kī kise shikāyat hai
hādsoñ kā sila nahīñ miltā
phuul kāñTe haiñ dhūp-chhāñv hai
peḌ paudoñ meñ kyā nahīñ miltā
talḳhiyoñ meñ miThās chakhtā huuñ
dard-e-dil ke sivā nahīñ miltā
āñktā huuñ yaqīñ kī gahrā.ī
jāntā huuñ ḳhudā nahīñ miltā
be-sabab hādse nahīñ hote
ranj bhī be-vajah nahīñ miltā
har kisī se vafā nahīñ miltī
har koī bevafā nahīñ miltā
tum ḳhudā kī talāsh karte ho
aadmī kā pata nahīñ miltā
tere maazī ke in sahīfoñ meñ
haal kā jā.eza nahīñ miltā
uljhanon ka sira nahin milta
kya karen muddaa nahin milta
ishtihaaron ne gher li diwar
mere ghar ka pata nahin milta
ruTh jate hain lafz mani se
aasman par KHuda nahin milta
har naya pal hai ek naya ehsas
har kisi ko maza nahin milta
ab to qanun ki chale hai miyan
ab bhale ko bhala nahin milta
hadson ki kise shikayat hai
hadson ka sila nahin milta
phul kanTe hain dhup-chhanw hai
peD paudon mein kya nahin milta
talKHiyon mein miThas chakhta hun
dard-e-dil ke siwa nahin milta
aankta hun yaqin ki gahrai
jaanta hun KHuda nahin milta
be-sabab hadse nahin hote
ranj bhi be-wajah nahin milta
har kisi se wafa nahin milti
har koi bewafa nahin milta
tum KHuda ki talash karte ho
aadmi ka pata nahin milta
tere mazi ke in sahifon mein
haal ka jaeza nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.