uljhanon mein hi ulajhti zindagani rah gai
uljhanon mein hi ulajhti zindagani rah gai
Shubha Shukla Mishra adhar
MORE BYShubha Shukla Mishra adhar
uljhanoñ meñ hī ulajhtī zindagānī rah ga.ī
bas vafāoñ kī badaulat shādmānī rah ga.ī
tum falak par chāñd ban kar raushnī dete rahe
maiñ mahaktī sī tumhārī rāt-rānī rah ga.ī
ḳhvāb sab be-nūr haiñ be-rañg gum-sum raunaqeñ
zindagī tum bin kahāñ ab zāfrānī rah ga.ī
Dhal rahī hai shab udāsī dard kā aalam huā
ye supurd-e-ḳhāk duniyā faanī faanī rah ga.ī
jism ko kar ke judā jag ho gayā masrūf par
ruuh meñ Thahrī mohabbat kī ravānī rah ga.ī
ban ke dushman ye muqaddar pal sunahre le gayā
par hañsī jis se 'adhar' par vo nishānī rah ga.ī
uljhanon mein hi ulajhti zindagani rah gai
bas wafaon ki badaulat shadmani rah gai
tum falak par chand ban kar raushni dete rahe
main mahakti si tumhaari raat-rani rah gai
KHwab sab be-nur hain be-rang gum-sum raunaqen
zindagi tum bin kahan ab zafrani rah gai
Dhal rahi hai shab udasi dard ka aalam hua
ye supurd-e-KHak duniya fani fani rah gai
jism ko kar ke juda jag ho gaya masruf par
ruh mein Thahri mohabbat ki rawani rah gai
ban ke dushman ye muqaddar pal sunahre le gaya
par hansi jis se 'adhar' par wo nishani rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.