ulTa asar ye shikwa-e-bedad se hua
ulTā asar ye shikva-e-bedād se huā
vo aur bhī ḳhafā mirī fariyād se huā
majnūñ hī se huā na vo 'farhād' se huā
jo kaam ishq meñ dil-e-nāshād se huā
dushman kī kyā majāl ki mujh ko burā kahe
jo kuchh huā huzūr ke irshād se huā
us dushman-e-vafā kā tasavvur hai phir mudām
majbūr maiñ to is dil-e-nāshād se huā
allāh hī ab ke jaan bachā.e to bach sake
phir ishq mujh ko ik sitam-ījād se huā
marne ke baad bhī na ga.ī ishq kī ḳhalish
ye uqda hal na ḳhanjar-e-jallād se huā
itnā to be-qarār huā thā na dil kabhī
jitnā ki muztar aaj tirī yaad se huā
jo kaam dostoñ se na ulfat meñ ho sakā
'hājir' vo kaam ġhair kī imdād se huā
ulTa asar ye shikwa-e-bedad se hua
wo aur bhi KHafa meri fariyaad se hua
majnun hi se hua na wo 'farhad' se hua
jo kaam ishq mein dil-e-nashad se hua
dushman ki kya majal ki mujh ko bura kahe
jo kuchh hua huzur ke irshad se hua
us dushman-e-wafa ka tasawwur hai phir mudam
majbur main to is dil-e-nashad se hua
allah hi ab ke jaan bachae to bach sake
phir ishq mujh ko ek sitam-ijad se hua
marne ke baad bhi na gai ishq ki KHalish
ye uqda hal na KHanjar-e-jallad se hua
itna to be-qarar hua tha na dil kabhi
jitna ki muztar aaj teri yaad se hua
jo kaam doston se na ulfat mein ho saka
'hajir' wo kaam ghair ki imdad se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.