ulTi paDti hai har ek kaam ki tadbir abas
ulTi paDti hai har ek kaam ki tadbir abas
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
ulTī paḌtī hai har ik kaam kī tadbīr abas
mujh se bargashta huī hai mirī taqdīr abas
jo muqaddar meñ likhā hai nahīñ miTne vaalā
aah be-kār hai aur nāla-e-shabgīr abas
koī baaqī nahīñ fariyād kā sunñe vaalā
shor kartī hai mire paañv kī zanjīr abas
shauq kahtā hai mirā mujh se jo honā hai vo ho
qatl karne meñ hai jallād ko tāḳhīr abas
kah diyā uqda-e-tadīr kā khulnā dushvār
dil samajh le ḳhalish-e-nāḳhun-e-tadbīr abas
aap kuchh mujh se ab ai hazrat-e-nāseh na kaheñ
guftugū aap kī be-kār hai taqrīr abas
jāñ-setāñ tīr-e-nazar yuuñ bhī hai us kā 'mas.ūd'
khīñchtā hai vo mire qatl pe shamshīr abas
ulTi paDti hai har ek kaam ki tadbir abas
mujh se bargashta hui hai meri taqdir abas
jo muqaddar mein likha hai nahin miTne wala
aah be-kar hai aur nala-e-shabgir abas
koi baqi nahin fariyaad ka sunne wala
shor karti hai mere panw ki zanjir abas
shauq kahta hai mera mujh se jo hona hai wo ho
qatl karne mein hai jallad ko taKHir abas
kah diya uqda-e-tadir ka khulna dushwar
dil samajh le KHalish-e-naKHun-e-tadbir abas
aap kuchh mujh se ab ai hazrat-e-naseh na kahen
guftugu aap ki be-kar hai taqrir abas
jaan-setan tir-e-nazar yun bhi hai us ka 'masud'
khinchta hai wo mere qatl pe shamshir abas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.