umangen dil mein hon sahra bhi aalishan lagta hai
umañgeñ dil meñ hoñ sahrā bhī ālīshān lagtā hai
bujhe dil ko sajī mahfil kā dar vīrān lagtā hai
ho koī ham-safar aisā jo dil ko ham-nafas guzre
isī hasrat pe har lamha mujhe qurbān lagtā hai
yaqīnan hai ḳhabar meñ aaj rab kī be-zabāñ duniyā
magar insān kal kī fikr kā sāmān lagtā hai
fazā meñ yuuñ takalluf hai havā meñ yuuñ hai bedārī
ki dil aivān-e-hastī meñ faqat mehmān lagtā hai
khulī khiḌkī se 'dānish' amn ke aḳhbār rozāna
ye manzar ab kisī firdaus kā unvān lagtā hai
umangen dil mein hon sahra bhi aalishan lagta hai
bujhe dil ko saji mahfil ka dar viran lagta hai
ho koi ham-safar aisa jo dil ko ham-nafas guzre
isi hasrat pe har lamha mujhe qurban lagta hai
yaqinan hai KHabar mein aaj rab ki be-zaban duniya
magar insan kal ki fikr ka saman lagta hai
faza mein yun takalluf hai hawa mein yun hai bedari
ki dil aiwan-e-hasti mein faqat mehman lagta hai
khuli khiDki se 'danish' amn ke aKHbar rozana
ye manzar ab kisi firdaus ka unwan lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.