umid-e-did kaam aae na aae
umīd-e-dīd kaam aa.e na aa.e
sahar aa.ī hai shaam aa.e na aa.e
mayassar hai nigāh-e-lutf-e-sāqī
hameñ kyā daur-e-jām aa.e na aa.e
sharāb āñkhoñ hī āñkhoñ meñ na pī luuñ
mire lab tak vo jaam aa.e na aa.e
sabā kartī to hai koshish barābar
tirā tarz-e-ḳhirām aa.e na aa.e
kalī chaTkī pahuñch jā.egī bulbul
sabā le kar payām aa.e na aa.e
mire dil meñ hai us kā lutf-e-guftār
but-e-shīrīñ-kalām aa.e na aa.e
sarāpā paikar-e-taslīm huuñ maiñ
kabhī un kā salām aa.e na aa.e
unheñ aatī hai merī yaad ab bhī
zabāñ par merā naam aa.e na aa.e
banā le jāvedāñ ulfat se is ko
kabhī phir aisī shaam aa.e na aa.e
maiñ raahī huuñ hai chalnā kaam merā
koī dilkash maqām aa.e na aa.e
nigāheñ un kī sab kuchh kah ga.ī haiñ
koī le kar payām aa.e na aa.e
'habīb' ahl-e-zabāñ se ham-suḳhan huuñ
vo andāz-e-kalām aa.e na aa.e
umid-e-did kaam aae na aae
sahar aai hai sham aae na aae
mayassar hai nigah-e-lutf-e-saqi
hamein kya daur-e-jam aae na aae
sharab aankhon hi aankhon mein na pi lun
mere lab tak wo jam aae na aae
saba karti to hai koshish barabar
tera tarz-e-KHiram aae na aae
kali chaTki pahunch jaegi bulbul
saba le kar payam aae na aae
mere dil mein hai us ka lutf-e-guftar
but-e-shirin-kalam aae na aae
sarapa paikar-e-taslim hun main
kabhi un ka salam aae na aae
unhen aati hai meri yaad ab bhi
zaban par mera nam aae na aae
bana le jawedan ulfat se is ko
kabhi phir aisi sham aae na aae
main rahi hun hai chalna kaam mera
koi dilkash maqam aae na aae
nigahen un ki sab kuchh kah gai hain
koi le kar payam aae na aae
'habib' ahl-e-zaban se ham-suKHan hun
wo andaz-e-kalam aae na aae
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 17)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.