Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umid-e-wasl mein lutf-e-hayat aur bhi hai

Musavvir Lakhnavi

umid-e-wasl mein lutf-e-hayat aur bhi hai

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    umīd-e-vasl meñ lutf-e-hayāt aur bhī hai

    charāġh abhī na bujhāo ki raat aur bhī hai

    kabhī to jhāñk ke dekho tum apne andar bhī

    tumhāre jism meñ ik kā.enāt aur bhī hai

    ulajh ke lazzat-e-duniyā meñ ham ye bhuul ga.e

    ki is hayāt ke baad ik hayāt aur bhī hai

    masarratoñ meñ jo sarmast haiñ vo kyā jāneñ

    ḳhushī ke baad ġhamoñ barāt aur bhī hai

    na vaqt ko na zamāne ko hai qiyām jahāñ

    vahīñ ye zindagī-e-be-sabāt aur bhī hai

    ḳhabar nahīñ hai bahāroñ meñ rahne vāloñ ko

    ki ek mausam-e-sad-hādsāt aur bhī hai

    bahut hai naaz tujhe māhtāb-o-anjum par

    ik āftāb-e-hazārāñ-sifāt aur bhī hai

    ġham-e-jahāñ ko ġham-e-do-jahāñ meñ zam kar do

    mujhe yaqīñ hai ki rāh-e-najāt aur bhī hai

    vo mutma.in nahīñ ab tak mirī tabāhī se

    mirī taraf nigah-e-iltifāt aur bhī hai

    jo aarzī hai 'musavvir' use sajānā kyā

    use sajāo jo ik kā.enāt aur bhī hai

    umid-e-wasl mein lutf-e-hayat aur bhi hai

    charagh abhi na bujhao ki raat aur bhi hai

    kabhi to jhank ke dekho tum apne andar bhi

    tumhaare jism mein ek kaenat aur bhi hai

    ulajh ke lazzat-e-duniya mein hum ye bhul gae

    ki is hayat ke baad ek hayat aur bhi hai

    masarraton mein jo sarmast hain wo kya jaanen

    KHushi ke baad ghamon ki baraat aur bhi hai

    na waqt ko na zamane ko hai qiyam jahan

    wahin ye zindagi-e-be-sabaat aur bhi hai

    KHabar nahin hai bahaaron mein rahne walon ko

    ki ek mausam-e-sad-hadsat aur bhi hai

    bahut hai naz tujhe mahtab-o-anjum par

    ek aaftab-e-hazaran-sifat aur bhi hai

    gham-e-jahan ko gham-e-do-jahan mein zam kar do

    mujhe yaqin hai ki rah-e-najat aur bhi hai

    wo mutmain nahin ab tak meri tabahi se

    meri taraf nigah-e-iltifat aur bhi hai

    jo aarzi hai 'musawwir' use sajaana kya

    use sajao jo ek kaenat aur bhi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now