umid jis se lagi hai usi ka dhyan nahin
umiid jis se lagī hai usī kā dhyān nahīñ
laveñ pukār rahī haiñ havā ke kaan nahīñ
baḌe sukūn se zinda haiñ nā-mukammal log
kisī kī aañkh nahīñ hai kisī ke kaan nahīñ
makāñ makāñ meñ paḌe haiñ karāhte būḌhe
hamāre shahr kā koī javāñ javān nahīñ
butoñ ke shahr meñ paidā kiyā gayā hai mujhe
kisī meñ soch nahīñ hai kisī meñ jaan nahīñ
nigāh-e-ishq meñ ahdāf ḳhud hī aate haiñ
ye aisā tiir hai jis kī koī kamān nahīñ
umid jis se lagi hai usi ka dhyan nahin
lawen pukar rahi hain hawa ke kan nahin
baDe sukun se zinda hain na-mukammal log
kisi ki aankh nahin hai kisi ke kan nahin
makan makan mein paDe hain karahte buDhe
hamare shahr ka koi jawan jawan nahin
buton ke shahr mein paida kiya gaya hai mujhe
kisi mein soch nahin hai kisi mein jaan nahin
nigah-e-ishq mein ahdaf KHud hi aate hain
ye aisa tir hai jis ki koi kaman nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.