umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun
umīdoñ se dil-e-barbād ko ābād kartā huuñ
miTāne ke liye duniyā na.ī ījād kartā huuñ
tirī mī’ād-e-ġham puurī huī ai zindagī ḳhush ho
qafas TuuTe na TuuTe maiñ tujhe āzād kartā huuñ
jafā-kāro mirī mazlūm ḳhāmoshī pe hañste ho
zarā Thahro zarā dam lo abhī fariyād kartā huuñ
maiñ apne dil kā mālik huuñ mirā dil ek bastī hai
kabhī ābād kartā huuñ kabhī barbād kartā huuñ
mulāqāteñ bhī hotī haiñ mulāqātoñ ke baa'd aksar
vo mujh ko bhuul jaate haiñ maiñ un ko yaad kartā huuñ
ḳhudī kī ibtidā ye thī ki apne-āp meñ gum thā
ḳhudī kī intihā ye hai ḳhudā ko yaad kartā huuñ
butoñ ke 'ishq meñ khoyā gayā huuñ varna ai 'aḳhtar'
ḳhudā shāhid hai maiñ aksar ḳhudā ko yaad kartā huuñ
umidon se dil-e-barbaad ko aabaad karta hun
miTane ke liye duniya nai ijad karta hun
teri mi’ad-e-gham puri hui ai zindagi KHush ho
qafas TuTe na TuTe main tujhe aazad karta hun
jafa-karo meri mazlum KHamoshi pe hanste ho
zara Thahro zara dam lo abhi fariyaad karta hun
main apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai
kabhi aabaad karta hun kabhi barbaad karta hun
mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke ba'd aksar
wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karta hun
KHudi ki ibtida ye thi ki apne-ap mein gum tha
KHudi ki intiha ye hai KHuda ko yaad karta hun
buton ke 'ishq mein khoya gaya hun warna ai 'aKHtar'
KHuda shahid hai main aksar KHuda ko yaad karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.