ummid-e-wasl us se KHuda ki qasam nahin
ummīd-e-vasl us se ḳhudā kī qasam nahīñ
kahte haiñ arz-e-bosa pe vo dam-ba-dam nahīñ
us kā tavāf karte haiñ ushshāq-e-roz-o-shab
kū-e-sanam bhī rutbe meñ ka.abe se kam nahīñ
mere savāl-e-vasl ko lillāh rad na kar
dekh ai sanam ye sheva-e-ahl-e-karam nahīñ
hūroñ kā tujh meñ husn hai pariyoñ kī shoḳhiyāñ
ai but qasam ḳhudā kī kisī se tū kam nahīñ
yaañ dard-e-dil se mujh ko nahīñ chain ab ghaḌī
un ko qarār shoḳhiyoñ se ek dam nahīñ
nāzāñ hoñ apne baḳht-e-siyah par na kis tarah
ye tīrgī meñ yaar kī zulfoñ se kam nahīñ
āñkheñ jo rone meñ to taḌapne meñ dil hai fard
vo abr se to ye kisī bijlī se kam nahīñ
apne liye maiñ un se rakhūñ ab umiid kyā
suntā huuñ marg-e-ġhair kā kuchh un ko ġham nahīñ
tum imtihān-e-ġhair kabhī karke dekh lo
rāh-e-vafā meñ vo kabhī sābit-qadam nahīñ
jo kaam un ke lab se vo tere qadam se ho
Thokar bhī terī kuchh qum-e-īsā se kam nahīñ
kis dam nahīñ hai yaar kī teġh-e-nigah kī yaad
kis vaqt mere qatl kā sāmāñ baham nahīñ
ham bevafā.iyāñ na kareñge adū kī tarah
tum ko vahī ḳhayāl abas hai vo ham nahīñ
apnī vafā kā zikr hasīnoñ meñ rah gayā
duniyā meñ naam aaj hamārā hai ham nahīñ
āñkheñ jo roiiñ hijr meñ ik hashr ho bapā
ye do habāb nuuh ke tūfāñ se kam nahīñ
mamnūn huuñ ḳhudā kī ināyat kā ai 'fahīm'
rāhat kā mere kaun sā sāmāñ baham nahīñ
ummid-e-wasl us se KHuda ki qasam nahin
kahte hain arz-e-bosa pe wo dam-ba-dam nahin
us ka tawaf karte hain ushshaq-e-roz-o-shab
ku-e-sanam bhi rutbe mein kabe se kam nahin
mere sawal-e-wasl ko lillah rad na kar
dekh ai sanam ye shewa-e-ahl-e-karam nahin
huron ka tujh mein husn hai pariyon ki shoKHiyan
ai but qasam KHuda ki kisi se tu kam nahin
yan dard-e-dil se mujh ko nahin chain ab ghaDi
un ko qarar shoKHiyon se ek dam nahin
nazan hon apne baKHt-e-siyah par na kis tarah
ye tirgi mein yar ki zulfon se kam nahin
aankhen jo rone mein to taDapne mein dil hai fard
wo abr se to ye kisi bijli se kam nahin
apne liye main un se rakhun ab umid kya
sunta hun marg-e-ghair ka kuchh un ko gham nahin
tum imtihan-e-ghair kabhi karke dekh lo
rah-e-wafa mein wo kabhi sabit-qadam nahin
jo kaam un ke lab se wo tere qadam se ho
Thokar bhi teri kuchh qum-e-isa se kam nahin
kis dam nahin hai yar ki tegh-e-nigah ki yaad
kis waqt mere qatl ka saman baham nahin
hum bewafaiyan na karenge adu ki tarah
tum ko wahi KHayal abas hai wo hum nahin
apni wafa ka zikr hasinon mein rah gaya
duniya mein nam aaj hamara hai hum nahin
aankhen jo roin hijr mein ek hashr ho bapa
ye do habab nuh ke tufan se kam nahin
mamnun hun KHuda ki inayat ka ai 'fahim'
rahat ka mere kaun sa saman baham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.