umid humse na rakhna fareb khane ki
umiid ham se na rakhnā fareb khāne kī
ki ham ne dekhī haiñ nairañgiyāñ zamāne kī
vafā kā rāsta hai aaj kis qadar sunsān
ab aarzū hai kise naqd-e-jāñ luTāne kī
mirī hayāt pe ye kaise pahre haiñ yā-rab
na ro sakūñ na ijāzat hai muskurāne kī
ujaḌ gayā to kisī taur phir ye bas na sakā
hazār koshisheñ kiiñ shahr-e-dil basāne kī
ye she'r-goī kā sadqa nahīñ to phir kyā hai
nazar meñ ho ga.e 'maqbūl' ham zamāne kī
umid hum se na rakhna fareb khane ki
ki hum ne dekhi hain nairangiyan zamane ki
wafa ka rasta hai aaj kis qadar sunsan
ab aarzu hai kise naqd-e-jaan luTane ki
meri hayat pe ye kaise pahre hain ya-rab
na ro sakun na ijazat hai muskurane ki
ujaD gaya to kisi taur phir ye bas na saka
hazar koshishen kin shahr-e-dil basane ki
ye she'r-goi ka sadqa nahin to phir kya hai
nazar mein ho gae 'maqbul' hum zamane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.