ummid ka charagh jala kar chala gaya
ummīd kā charāġh jalā kar chalā gayā
ik shaḳhs mere ḳhvāb meñ aa kar chalā gayā
us ke hī dam se naqsh-o-nigār-e-bahār hai
patthar meñ bhī jo phuul khilā kar chalā gayā
dīvār kī tarah maiñ tire rāste meñ thā
aur ret kī tarah tū girā kar chalā gayā
aaya thā kaun ḳhvāb meñ chingāriyāñ liye
nīñdoñ meñ merī aag lagā kar chalā gayā
yūñhī nahīñ huā huuñ maiñ patthar mire aziiz
ā.īna koī mujh ko dikhā kar chalā gayā
ummid ka charagh jala kar chala gaya
ek shaKHs mere KHwab mein aa kar chala gaya
us ke hi dam se naqsh-o-nigar-e-bahaar hai
patthar mein bhi jo phul khila kar chala gaya
diwar ki tarah main tere raste mein tha
aur ret ki tarah tu gira kar chala gaya
aaya tha kaun KHwab mein chingariyan liye
nindon mein meri aag laga kar chala gaya
yunhi nahin hua hun main patthar mere aziz
aaina koi mujh ko dikha kar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.