ummid ka daman tu mera chaak na karna
ummīd kā dāman tū mirā chaak na karnā
yuuñ mujh pe sitam ai dil-e-saffāk na karnā
tārīkī-e-shab hai mirā pahle se muqaddar
aur tum bhī añdhere mirī imlāk na karnā
ye zaḳhm-e-anā kaafī hai ai yūsuf-e-daurāñ
ab chashm-e-zuleḳhā ko tū namnāk na karnā
jab nīñdeñ bichhaḌ jaa.eñ to aa jaatī haiñ yādeñ
is ḳhvāb-nagar ko pas-e-aflāk na karnā
baiThī huuñ umīdoñ pe 'bahār' aa.egī shāyad
yuuñ ās-jazīre ko tah-e-ḳhāk na karnā
ummid ka daman tu mera chaak na karna
yun mujh pe sitam ai dil-e-saffak na karna
tariki-e-shab hai mera pahle se muqaddar
aur tum bhi andhere meri imlak na karna
ye zaKHm-e-ana kafi hai ai yusuf-e-dauran
ab chashm-e-zuleKHa ko tu namnak na karna
jab ninden bichhaD jaen to aa jati hain yaaden
is KHwab-nagar ko pas-e-aflak na karna
baiThi hun umidon pe 'bahaar' aaegi shayad
yun aas-jazire ko tah-e-KHak na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.